hawa ka shor to aaj aur bhi ziyaada hai | हवा का शोर तो आज और भी ज़ियादा है - Ahmad Irfan

hawa ka shor to aaj aur bhi ziyaada hai
charaaghaan aankh mein kar lo agar iraada hai

main raahguzaar mein kahi par bikhar hi jaaunga
ye meri rooh pe mitti ka ik labaada hai

bahut dinon ki masafat ke ba'ad mujh pe khula
ki chal raha hoon mein jis par ujaad jaada hai

ye tera zarf nahin tang-o-taar ghaati nahin
ye mere dil ka hai rasta bhi aur kushaada hai

use to kuch nahin ma'aloom duniyadari ka
mizaaj ka tira ahmad bhi kitna saada hai

हवा का शोर तो आज और भी ज़ियादा है
चराग़ाँ आँख में कर लो अगर इरादा है

मैं रहगुज़र में कहीं पर बिखर ही जाऊँगा
ये मेरी रूह पे मिट्टी का इक लबादा है

बहुत दिनों की मसाफ़त के बा'द मुझ पे खुला
कि चल रहा हूँ में जिस पर उजाड़ जादा है

ये तेरा ज़र्फ़ नहीं तंग-ओ-तार घाटी नहीं
ये मेरे दिल का है रस्ता भी और कुशादा है

उसे तो कुछ नहीं मा'लूम दुनिया-दारी का
मिज़ाज का तिरा 'अहमद' भी कितना सादा है

- Ahmad Irfan
0 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Irfan

As you were reading Shayari by Ahmad Irfan

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Irfan

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari