chaand to doob gaya dard gawara kar ke | चाँद तो डूब गया दर्द गवारा कर के - Ahmad Irfan

chaand to doob gaya dard gawara kar ke
meri aankhon mein ubharte rahe taare kya kya

ab agar dasne lage hain to gila kya karna
aasteenon mein to khud saanp the pale kya kya

main ne socha hi tha duniya ki haqeeqat kya hai
saamne aane lage logon ke chehre kya kya

khwaab aankhon mein utarte to utarte kaise
khud se bezaar hoon jab raat ke maare kya kya

ab ye aalam hai meri khaak udaati hai hawa
kabhi qadmon se lipt jaate the raaste kya kya

koi seharaaon se rishta hai yaqeenan ahmad
meri jaanib chale aate hain bagule kya kya

चाँद तो डूब गया दर्द गवारा कर के
मेरी आँखों में उभरते रहे तारे क्या क्या

अब अगर डसने लगे हैं तो गिला क्या करना
आस्तीनों में तो ख़ुद साँप थे पाले क्या क्या

मैं ने सोचा ही था दुनिया की हक़ीक़त क्या है
सामने आने लगे लोगों के चेहरे क्या क्या

ख़्वाब आँखों में उतरते तो उतरते कैसे
ख़ुद से बेज़ार हूँ जब रात के मारे क्या क्या

अब ये आलम है मिरी ख़ाक उड़ाती है हवा
कभी क़दमों से लिपट जाते थे रस्ते क्या क्या

कोई सहराओं से रिश्ता है यक़ीनन 'अहमद'
मेरी जानिब चले आते हैं बगूले क्या क्या

- Ahmad Irfan
0 Likes

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Irfan

As you were reading Shayari by Ahmad Irfan

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Irfan

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari