main na kehta tha mere bhaai nahin ho sakti | मैं न कहता था मिरे भाई नहीं हो सकती - Ahmad Irfan

main na kehta tha mere bhaai nahin ho sakti
aag paani mein shanaasaai nahin ho sakti

titliyan phool parinde use lene aaye
is se badh kar to paziraai nahin ho sakti

mere chehre pe ye maangi hui aankhen na laga
in mein jo hai meri beenaai nahin ho sakti

ik kuaan hai so hai ma'aloom mere bhaaiyon ko
raaste mein to koi khaai nahin ho sakti

painting jaan-e-musavvir ke bane haathon ki
dar-o-deewar pe ye kaai nahin ho sakti

jag-hansaai meri karwa di zamaane bhar mein
tum to kahte the ki ruswaai nahin ho sakti

aa gaya dasta abaabeelon ka ahmad-e-irfaan
ab humein jang mein paspaai nahin ho sakti

मैं न कहता था मिरे भाई नहीं हो सकती
आग पानी में शनासाई नहीं हो सकती

तितलियाँ फूल परिंदे उसे लेने आए
इस से बढ़ कर तो पज़ीराई नहीं हो सकती

मेरे चेहरे पे ये माँगी हुई आँखें न लगा
इन में जो है मिरी बीनाई नहीं हो सकती

इक कुआँ है सो है मा'लूम मिरे भाइयों को
रास्ते में तो कोई खाई नहीं हो सकती

पेंटिंग जान-ए-मुसव्विर के बने हाथों की
दर-ओ-दीवार पे ये काई नहीं हो सकती

जग-हँसाई मिरी करवा दी ज़माने भर में
तुम तो कहते थे कि रुस्वाई नहीं हो सकती

आ गया दस्ता अबाबीलों का अहमद-'इरफ़ान'
अब हमें जंग में पस्पाई नहीं हो सकती

- Ahmad Irfan
0 Likes

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Irfan

As you were reading Shayari by Ahmad Irfan

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Irfan

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari