hawa ke dosh pe ye jo sawaar paani hai | हवा के दोश पे ये जो सवार पानी है - Ahmad Irfan

hawa ke dosh pe ye jo sawaar paani hai
mera yaqeen karo be-shumaar paani hai

ki pyaas bujh nahin paai hai is se pyaason ki
isee liye to bahut sharmasaar paani hai

bujhe kuch aise nadi mein charaagh bahte hue
hawaaein hansne lagin sogwaar paani hai

tu ek jheel hai saif-ul-mulook ke jaisi
mein aisa thar ki jahaan aar-paar paani hai

main dekh haath mein mashkiza le ke aaya hoon
ki ek pyaase ko ye regzaar paani hai

हवा के दोश पे ये जो सवार पानी है
मिरा यक़ीन करो बे-शुमार पानी है

कि प्यास बुझ नहीं पाई है इस से प्यासों की
इसी लिए तो बहुत शर्मसार पानी है

बुझे कुछ ऐसे नदी में चराग़ बहते हुए
हवाएँ हँसने लगीं सोगवार पानी है

तू एक झील है सैफ़-उल-मुलूक के जैसी
में ऐसा थर कि जहाँ आर-पार पानी है

मैं देख हाथ में मश्कीज़ा ले के आया हूँ
कि एक प्यासे को ये रेगज़ार पानी है

- Ahmad Irfan
0 Likes

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Irfan

As you were reading Shayari by Ahmad Irfan

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Irfan

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari