ab kahaan jaaunga uth kar main yahin rahne de | अब कहाँ जाऊँगा उठ कर मैं यहीं रहने दे - Ahmad Irfan

ab kahaan jaaunga uth kar main yahin rahne de
vahshat-e-khaana-badoshi tu kahi rahne de

ho gai shah ko ab maat ki main kehta raha
are rahne de piyaade ko wahi rahne de

le ke ja saka hai tu sar se mera charkh-e-kuhan
par mere pairo'n tale meri zameen rahne de

tark-e-hijrat ka iraada bhi to kar saka hai
kaun thehrega yahan dil ke makeen rahne de

kaj-kulaahi na mujhe takht-nasheeni se garz
sar-basar khaak hoon aur khaak-nasheen rahne de

hum ki darvesh hain aur ishq se matlab hai humein
husn ko apni jagah cheen-b-jabeen rahne de

ishq phir aur pari-zaad se ahmad-e-irfaan
dev patthar ka bana de na kahi rahne de

अब कहाँ जाऊँगा उठ कर मैं यहीं रहने दे
वहशत-ए-ख़ाना-बदोशी तू कहीं रहने दे

हो गई शाह को अब मात कि मैं कहता रहा
अरे रहने दे पियादे को वहीं रहने दे

ले के जा सकता है तू सर से मिरा चर्ख़-ए-कुहन
पर मिरे पैरों तले मेरी ज़मीं रहने दे

तर्क-ए-हिजरत का इरादा भी तो कर सकता है
कौन ठहरेगा यहाँ दिल के मकीं रहने दे

कज-कुलाही न मुझे तख़्त-नशीनी से ग़रज़
सर-बसर ख़ाक हूँ और ख़ाक-नशीं रहने दे

हम कि दरवेश हैं और इश्क़ से मतलब है हमें
हुस्न को अपनी जगह चीं-ब-जबीं रहने दे

इश्क़ फिर और परी-ज़ाद से अहमद-'इरफ़ान'
देव पत्थर का बना दे न कहीं रहने दे

- Ahmad Irfan
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Irfan

As you were reading Shayari by Ahmad Irfan

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Irfan

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari