khaak mein kyun meri dastaar milaai hui hai | ख़ाक में क्यूँ मिरी दस्तार मिलाई हुई है - Ahmad Irfan

khaak mein kyun meri dastaar milaai hui hai
main ne izzat badi mushkil se kamaai hui hai

chaand kaaghaz pe banaana hai abhi ek mujhe
abhi manzar mein faqat jheel banaai hui hai

titliyan roz hi aati hain unhen milne ko
kis ki khushboo hai jo phoolon ne churaai hui hai

jaagna chahta hoon der talak saath tire
meri aankhon mein magar neend jo aayi hui hai

aap tanqeed karein aap ka haq hai sahab
ye ghazal meer ko main ne to sunaai hui hai

is ko deewaar pe main kaise laga doon ahmad
ek tasveer jo seene se lagaaee hui hai

ख़ाक में क्यूँ मिरी दस्तार मिलाई हुई है
मैं ने इज़्ज़त बड़ी मुश्किल से कमाई हुई है

चाँद काग़ज़ पे बनाना है अभी एक मुझे
अभी मंज़र में फ़क़त झील बनाई हुई है

तितलियाँ रोज़ ही आती हैं उन्हें मिलने को
किस की ख़ुशबू है जो फूलों ने चुराई हुई है

जागना चाहता हूँ देर तलक साथ तिरे
मेरी आँखों में मगर नींद जो आई हुई है

आप तन्क़ीद करें आप का हक़ है साहब
ये ग़ज़ल 'मीर' को मैं ने तो सुनाई हुई है

इस को दीवार पे मैं कैसे लगा दूँ 'अहमद'
एक तस्वीर जो सीने से लगाई हुई है

- Ahmad Irfan
0 Likes

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Irfan

As you were reading Shayari by Ahmad Irfan

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Irfan

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari