ik musaafir ki tarah door se aaya hua main | इक मुसाफ़िर की तरह दूर से आया हुआ मैं - Ahmad Irfan

ik musaafir ki tarah door se aaya hua main
ab kahaan jaaun tire dar se uthaya hua main

ye alag baat ki deemak ne mujhe chaat liya
ik shajar tha tire haathon ka lagaaya hua main

mera hona tiri duniya mein na hone jaisa
lauh-e-hasti pe se ik harf mitaaya hua main

इक मुसाफ़िर की तरह दूर से आया हुआ मैं
अब कहाँ जाऊँ तिरे दर से उठाया हुआ मैं

ये अलग बात कि दीमक ने मुझे चाट लिया
इक शजर था तिरे हाथों का लगाया हुआ मैं

मेरा होना तिरी दुनिया में न होने जैसा
लौह-ए-हस्ती पे से इक हर्फ़ मिटाया हुआ मैं

- Ahmad Irfan
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Irfan

As you were reading Shayari by Ahmad Irfan

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Irfan

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari