mere ashjaar azaadaar hue jaate hain | मेरे अश्जार अज़ादार हुए जाते हैं - Ahmad Irfan

mere ashjaar azaadaar hue jaate hain
gaav ke gaav jo bazaar hue jaate hain

abhi hijrat ka iraada bhi nahin hai mera
raaste kis liye dushwaar hue jaate hain

jo fariqain ke maabain suljh sakte the
masale surkhi-e-akhbaar hue jaate hain

saahab-e-izz-o-sharaf ek nazar hum par bhi
teri duniya mein bahut khaar hue jaate hain

aisi ashyaa-e-zamaana mein kashish hai ki sabhi
dekh duniya ke talabgaar hue jaate hain

main kinaare pe khada dekh raha hoon aur log
jast bhar bhar ke sabhi paar hue jaate hain

khushk patton ki tarah hum bhi to ahmad-e-irfaan
toot kar shaakh se be-kaar hue jaate hain

मेरे अश्जार अज़ादार हुए जाते हैं
गाँव के गाँव जो बाज़ार हुए जाते हैं

अभी हिजरत का इरादा भी नहीं है मेरा
रास्ते किस लिए दुश्वार हुए जाते हैं

जो फ़रीक़ैन के माबैन सुलझ सकते थे
मसअले सुर्ख़ी-ए-अख़बार हुए जाते हैं

साहब-ए-इज़्ज़-ओ-शरफ़ एक नज़र हम पर भी
तेरी दुनिया में बहुत ख़ार हुए जाते हैं

ऐसी अश्या-ए-ज़माना में कशिश है कि सभी
देख दुनिया के तलबगार हुए जाते हैं

मैं किनारे पे खड़ा देख रहा हूँ और लोग
जस्त भर भर के सभी पार हुए जाते हैं

ख़ुश्क पत्तों की तरह हम भी तो 'अहमद'-इरफ़ान
टूट कर शाख़ से बे-कार हुए जाते हैं

- Ahmad Irfan
0 Likes

Irada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Irfan

As you were reading Shayari by Ahmad Irfan

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Irfan

Similar Moods

As you were reading Irada Shayari Shayari