hukm de qirtaas par rangeen nazaara phoonk doon | हुक्म दे क़िर्तास पर रंगीं नज़ारा फूँक दूँ - Ahmad Jahangeer

hukm de qirtaas par rangeen nazaara phoonk doon
misra-e-tar mein sunhara isti'aara phoonk doon

ramz ki baara-dari mein zabt waajib gar na ho
main tayqquun se ta'ajjub ka minaara phoonk doon

mushtari ka taaj pahne zuhul par aswaar hoon
gaah sayyaara jalaaun gaah taara phoonk doon

haan isee dariya tale aindagaan ka shehar hai
aatishi lab se agar paani ka dhaara phoonk doon

ek favvaare ke gesu ek chaubaare ki aankh
chashm-e-nazzaara jala kar har ishaara phoonk doon

qalb se uthati hui shaakh-e-tamwujj hukm de
kya tanaffus ke sharar se baagh saara phoonk doon

हुक्म दे क़िर्तास पर रंगीं नज़ारा फूँक दूँ
मिसरा-ए-तर में सुनहरा इस्तिआ'रा फूँक दूँ

रम्ज़ की बारा-दरी में ज़ब्त वाजिब गर न हो
मैं तयक़्क़ुन से तअ'ज्जुब का मिनारा फूँक दूँ

मुश्तरी का ताज पहने ज़ुहल पर असवार हूँ
गाह सय्यारा जलाऊँ गाह तारा फूँक दूँ

हाँ इसी दरिया तले आइंदगाँ का शहर है
आतिशीं लब से अगर पानी का धारा फूँक दूँ

एक फ़व्वारे के गेसू एक चौबारे की आँख
चश्म-ए-नज़्ज़ारा जला कर हर इशारा फूँक दूँ

क़ल्ब से उठती हुई शाख़-ए-तमव्वुज हुक्म दे
क्या तनफ़्फ़ुस के शरर से बाग़ सारा फूँक दूँ

- Ahmad Jahangeer
0 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Jahangeer

As you were reading Shayari by Ahmad Jahangeer

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Jahangeer

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari