khushk roti todni hai sard paani chahiye | ख़ुश्क रोटी तोड़नी है सर्द पानी चाहिए - Ahmad Jahangeer

khushk roti todni hai sard paani chahiye
kya kisi girje ki kundi khatkhatani chahiye

ai sama'at us fazaa mein aaj bhi maujood hai
haan nava-e-naghma-e-kun tujh ko aani chahiye

kaahina hum se rivaayat ka mukammal matn sun
batn mein jaltee hui sham-e-ma'aani chahiye

saabika naqshe pe taaza saltanat ijaad ho
aasmaan neela banaana ghaas dhaani chahiye

gum-shuda suraj ko rota hai mera yaum-e-saped
surmai shab ko charaagh-e-aan-jahaani chahiye

husn ke gaare mein aab-e-ishq ki chheentein mila
champai rangat mein aatish sansanaani chahiye

jism ki gosha-nasheeni aur kitne roz hai
banda-e-rabb-e-ali ko la-makaani chahiye

ख़ुश्क रोटी तोड़नी है सर्द पानी चाहिए
क्या किसी गिरजे की कुंडी खटख़टानी चाहिए

ऐ समाअ'त उस फ़ज़ा में आज भी मौजूद है
हाँ नवा-ए-नग़्मा-ए-कुन तुझ को आनी चाहिए

काहिना हम से रिवायत का मुकम्मल मत्न सुन
बत्न में जलती हुई शम-ए-मआ'नी चाहिए

साबिक़ा नक़्शे पे ताज़ा सल्तनत ईजाद हो
आसमाँ नीला बनाना घास धानी चाहिए

गुम-शुदा सूरज को रोता है मिरा यौम-ए-सपेद
सुरमई शब को चराग़-ए-आँ-जहानी चाहिए

हुस्न के गारे में आब-ए-इश्क़ की छींटें मिला
चम्पई रंगत में आतिश सनसनानी चाहिए

जिस्म की गोशा-नशीनी और कितने रोज़ है
बंदा-ए-रब्ब-ए-अली को ला-मकानी चाहिए

- Ahmad Jahangeer
0 Likes

Taareef Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Jahangeer

As you were reading Shayari by Ahmad Jahangeer

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Jahangeer

Similar Moods

As you were reading Taareef Shayari Shayari