vajd karti ik dua kacche makaanon se uthi | वज्द करती इक दुआ कच्चे मकानों से उठी - Ahmad Jahangeer

vajd karti ik dua kacche makaanon se uthi
raushni tasbeeh ke rangeen daano se uthi

surkh aafat se muzayyan takhta-e-gul ki sehar
shab ko naaranji qayamat sham'a-daano se uthi

sabza-o-gul sab achaanak neelgoon hone lage
yak-b-yak jab zard maati aasmaanon se uthi

laad laane ke liye sarsabz angooron ka ras
hukm aate hi magas chatte ke khaanon se uthi

main sukhun rab-e-ahd ke fazl se karne laga
isti'aaron ki chamak mere khazaano se uthi

ghantiyaan naaqoos taashe sab gulaab-e-subh hain
par sahar-khezi ki khushboo bas azaanon se uthi

वज्द करती इक दुआ कच्चे मकानों से उठी
रौशनी तस्बीह के रंगीन दानों से उठी

सुर्ख़ आफ़त से मुज़य्यन तख़्ता-ए-गुल की सहर
शब को नारंजी क़यामत शम्अ-दानों से उठी

सब्ज़ा-ओ-गुल सब अचानक नीलगूँ होने लगे
यक-ब-यक जब ज़र्द माटी आसमानों से उठी

लाद लाने के लिए सरसब्ज़ अंगूरों का रस
हुक्म आते ही मगस छत्ते के ख़ानों से उठी

मैं सुख़न रब-ए-अहद के फ़ज़्ल से करने लगा
इस्तिआरों की चमक मेरे ख़ज़ानों से उठी

घंटियाँ नाक़ूस ताशे सब गुलाब-ए-सुब्ह हैं
पर सहर-ख़ेज़ी की ख़ुशबू बस अज़ानों से उठी

- Ahmad Jahangeer
0 Likes

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Jahangeer

As you were reading Shayari by Ahmad Jahangeer

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Jahangeer

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari