tu zabaan-e-dehli-o-lahore ka parwardigaar | तू ज़बान-ए-देहली-ओ-लाहौर का पर्वरदिगार - Ahmad Jahangeer

tu zabaan-e-dehli-o-lahore ka parwardigaar
main sukoot-e-gilgit-o-askar do-paara-e-chanaar

bakriyaan roz-e-azl se koh ki rasta shanaas
ai sunhari zeen waale nuqraai rath ke sawaar

gulshan-e-izhaar ke do khusraw-o-sarmast phool
rang se raushan zameen-e-hind az-ta kohsaar

yaar hum do mukhtalif duniyaaon ke tashreeh gar
tu kisi firqe ka sha'ir main lisaan-e-kirdagaar

ungliyon mein raushni dete zamurad ke charaagh
marmariin baazu ka halka surkh yaqooti hisaar

raushni tareek raaste se zameen tak aa gai
beej ko shauq-e-numoo ne kar diya hai aashkaar

तू ज़बान-ए-देहली-ओ-लाहौर का पर्वरदिगार
मैं सुकूत-ए-गिलगित-ओ-अस्कर दो-पारा-ए-चनार

बकरियाँ रोज़-ए-अज़ल से कोह की रस्ता शनास
ऐ सुनहरी ज़ीन वाले नुक़रई रथ के सवार

गुलशन-ए-इज़हार के दो ख़ुसरव-ओ-सरमस्त फूल
रंग से रौशन ज़मीन-ए-हिन्द अज़-ता कोहसार

यार हम दो मुख़्तलिफ़ दुनियाओं के तशरीह गर
तू किसी फ़िरक़े का शाइ'र मैं लिसान-ए-किर्दगार

उँगलियों में रौशनी देते ज़मुर्रद के चराग़
मरमरीं बाज़ू का हल्क़ा सुर्ख़ याक़ूती हिसार

रौशनी तारीक रस्ते से ज़मीं तक आ गई
बीज को शौक़-ए-नुमू ने कर दिया है आश्कार

- Ahmad Jahangeer
0 Likes

Rose Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Jahangeer

As you were reading Shayari by Ahmad Jahangeer

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Jahangeer

Similar Moods

As you were reading Rose Shayari Shayari