zanjeeron se bandha hua har ek yahoodi takta tha | ज़ंजीरों से बँधा हुआ हर एक यहूदी तकता था - Ahmad Jahangeer

zanjeeron se bandha hua har ek yahoodi takta tha
koson door se baabul ka raushan minaar chamakta tha

ghaar ki rangeen tasveeron ko aur zamaane dekhenge
hum ne bas vo naqsh kiya jo us lamhe ban saka tha

ik shaffaaf dariche mein kuch rang birange manzar the
gul-daano mein phool farozaan aatish-daan bhadakta tha

main jis masnad par tha vo to ik goshe mein rakhi thi
aur dareecha chupke se manzar ki samt sarkata tha

baarish chappar tez hawaaein misri jaise sindhi geet
yaar saraaye ke choolhe par meetha qahwa pakta tha

jungle gaav parinde insaan qisse mein sab laakhon the
sayyaare ka suraj lekin tanhaai mein yaktaa tha

ज़ंजीरों से बँधा हुआ हर एक यहूदी तकता था
कोसों दूर से बाबुल का रौशन मीनार चमकता था

ग़ार की रंगीं तस्वीरों को और ज़माने देखेंगे
हम ने बस वो नक़्श किया जो उस लम्हे बन सकता था

इक शफ़्फ़ाफ़ दरीचे में कुछ रंग बिरंगे मंज़र थे
गुल-दानों में फूल फ़रोज़ाँ आतिश-दान भड़कता था

मैं जिस मसनद पर था वो तो इक गोशे में रक्खी थी
और दरीचा चुपके से मंज़र की सम्त सरकता था

बारिश छप्पर तेज़ हवाएँ मिस्री जैसे सिंधी गीत
यार सराए के चूल्हे पर मीठा क़हवा पकता था

जंगल गाँव परिंदे इंसाँ क़िस्से में सब लाखों थे
सय्यारे का सूरज लेकिन तन्हाई में यकता था

- Ahmad Jahangeer
0 Likes

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Jahangeer

As you were reading Shayari by Ahmad Jahangeer

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Jahangeer

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari