shiraaz ki may marv ke yaqoot sambhaale | शीराज़ की मय मर्व के याक़ूत सँभाले - Ahmad Jahangeer

shiraaz ki may marv ke yaqoot sambhaale
main koh-e-damaavand se aa pahuncha himalaya

hove to rahe sheesha-o-aahan ki hukoomat
kaansi ki meri teg hai mitti ke pyaale

har shakhs b-andaaz-e-digar waasil-e-shak tha
utha main tiri bazm se iqaan sambhaale

ab ishq-e-navardi hi thikaane se lagaaye
shola na jalaae mujhe girdaab uchaale

hone ki khabar bhi na tira hijr-zada de
bhar leve kabhi aah kabhi sham'a jala le

bose ka taljzjzu ho kabhi tauf ki raahat
armaan mera ye dil-e-kaafir bhi nikale

ibhaam ke resho se bana baagh-e-takhayyul
ho jaaye kabhi chashm-e-tahayyur ke hawaale

शीराज़ की मय मर्व के याक़ूत सँभाले
मैं कोह-ए-दमावंद से आ पहुँचा हिमालय

होवे तो रहे शीशा-ओ-आहन की हुकूमत
काँसी की मिरी तेग़ है मिट्टी के प्याले

हर शख़्स ब-अंदाज़-ए-दिगर वासिल-ए-शक था
उठा मैं तिरी बज़्म से ईक़ान सँभाले

अब इश्क़-ए-नवर्दी ही ठिकाने से लगाए
शो'ला न जलाए मुझे गिर्दाब उछाले

होने की ख़बर भी न तिरा हिज्र-ज़दा दे
भर लेवे कभी आह कभी शम्अ' जला ले

बोसे का तलज़्ज़ज़ु हो कभी तौफ़ की राहत
अरमान मिरा ये दिल-ए-काफ़िर भी निकाले

इबहाम के रेशों से बना बाग़-ए-तख़य्युल
हो जाए कभी चश्म-ए-तहय्युर के हवाले

- Ahmad Jahangeer
0 Likes

Mehfil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Jahangeer

As you were reading Shayari by Ahmad Jahangeer

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Jahangeer

Similar Moods

As you were reading Mehfil Shayari Shayari