firozi tasbeeh ka ghera haath mein jalva-afghan tha | फ़ीरोज़ी तस्बीह का घेरा हाथ में जल्वा-अफ़्गन था - Ahmad Jahangeer

firozi tasbeeh ka ghera haath mein jalva-afghan tha
naaranji shamon se hujra khair ki shab mein raushan tha

raah-ravon ne dasht-e-safar mein har ummeed sanwaari thi
ranj ki raah pe chalne waalon ka har khwaab muzayyan tha

raat hui hai khema to naqe se utaara jaayega
deep kahaan rakha hai jis mein kuch zaitoon ka roghan tha

rangon ki ye qaab ult de tasveeron par maati lep
khoj jo sone ke sikko ka ik goshe mein bartan tha

cheen mein sunte hain shaayad ab aaina ijaad hua
warna ik taalaab hi apni aaraish ka darpan tha

maatam ki awaaz uthaai zanjeeron ke halkon ne
haath bandhe the gardan se par giryaa shaam-ta-madyan tha

फ़ीरोज़ी तस्बीह का घेरा हाथ में जल्वा-अफ़्गन था
नारंजी शम्ओं' से हुजरा ख़ैर की शब में रौशन था

राह-रवों ने दश्त-ए-सफ़र में हर उम्मीद सँवारी थी
रंज की राह पे चलने वालों का हर ख़्वाब मुज़य्यन था

रात हुई है ख़ेमा तो नाक़े से उतारा जाएगा
दीप कहाँ रक्खा है जिस में कुछ ज़ैतून का रोग़न था

रंगों की ये क़ाब उलट दे तस्वीरों पर माटी लेप
खोज जो सोने के सिक्कों का इक गोशे में बर्तन था

चीन में सुनते हैं शायद अब आईना ईजाद हुआ
वर्ना इक तालाब ही अपनी आराइश का दर्पन था

मातम की आवाज़ उठाई ज़ंजीरों के हल्क़ों ने
हाथ बंधे थे गर्दन से पर गिर्या शाम-ता-मदयन था

- Ahmad Jahangeer
0 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Jahangeer

As you were reading Shayari by Ahmad Jahangeer

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Jahangeer

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari