ruk dekh yaar kheench le tasveer waqt par | रुक देख यार खींच ले तस्वीर वक़्त पर - Ahmad Jahangeer

ruk dekh yaar kheench le tasveer waqt par
akhrot todti hai gilhari darakht par

shaayad kahi se abr-e-karam ka zuhoor ho
dariya pe ek aankh laga ek dasht par

khidki mein subh vaadi-e-kailash ka zuhoor
utre awadh ki shaam kisi roz takht par

rath se hateliyon pe utarti are gazab
makhmal ghasitti hai zameen-e-karkht par

gul surkh rang ghaas hari neelgoon falak
ai kirdagaar shukr tire bandobast par

takhleeq ka tilism kabhi dekhne chalen
hum aakhiruzzamaan bhi hain baab-e-alast par

रुक देख यार खींच ले तस्वीर वक़्त पर
अख़रोट तोड़ती है गिलहरी दरख़्त पर

शायद कहीं से अब्र-ए-करम का ज़ुहूर हो
दरिया पे एक आँख लगा एक दश्त पर

खिड़की में सुब्ह वादी-ए-कैलाश का ज़ुहूर
उतरे अवध की शाम किसी रोज़ तख़्त पर

रथ से हथेलियों पे उतरती अरे ग़ज़ब
मख़मल घसीटती है ज़मीन-ए-करख़्त पर

गुल सुर्ख़ रंग घास हरी नीलगूँ फ़लक
ऐ किर्दगार शुक्र तिरे बंदोबस्त पर

तख़्लीक़ का तिलिस्म कभी देखने चलें
हम आखिरुज़्ज़माँ भी हैं बाब-ए-अलस्त पर

- Ahmad Jahangeer
0 Likes

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Jahangeer

As you were reading Shayari by Ahmad Jahangeer

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Jahangeer

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari