jo tez daudte the bahut jald thak gaye | जो तेज़ दौड़ते थे बहुत जल्द थक गए - Ahmad Kamal Hashmi

jo tez daudte the bahut jald thak gaye
hum dheere dheere chalte hue door tak gaye

utran pahan ke shah ki khush hain musaahibeen
suraj se bheek maang ke zarre chamak gaye

yaaron ne zakhm-e-dil ka mere yun kiya ilaaj
aaye the khoon ponchne rakh kar namak gaye

aankhon ko intizaar mein parde pe taank kar
chaukhat se poster ki tarah hum chipak gaye

vo shaay'ri bhi hai ki nahin sochie kamaal
naam-e-ghazal pe aap bahut kuch to bak gaye

जो तेज़ दौड़ते थे बहुत जल्द थक गए
हम धीरे धीरे चलते हुए दूर तक गए

उतरन पहन के शाह की ख़ुश हैं मुसाहिबीन
सूरज से भीक माँग के ज़र्रे चमक गए

यारों ने ज़ख़्म-ए-दिल का मिरे यूँ किया इलाज
आए थे ख़ून पोंछने रख कर नमक गए

आँखों को इंतिज़ार में पर्दे पे टाँक कर
चौखट से पोस्टर की तरह हम चिपक गए

वो शाइ'री भी है कि नहीं सोचिए 'कमाल'
नाम-ए-ग़ज़ल पे आप बहुत कुछ तो बक गए

- Ahmad Kamal Hashmi
0 Likes

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Hashmi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Hashmi

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari