vo bujh gaya to andheron ko bhi malaal raha | वो बुझ गया तो अँधेरों को भी मलाल रहा - Ahmad Kamal Hashmi

vo bujh gaya to andheron ko bhi malaal raha
vo ik charaagh jo jalne mein bhi be-misaal raha

kabhi bhula na saka dil-shikastagi apni
juda to jud ke bhi us aaine mein baal raha

meri hayaat ne haatim bana diya mujh ko
har ik sawaal ke ba'ad ik naya sawaal raha

hamesha main ne bhi naakaamiyon se kaam liya
tamaam-umr mera meer jaisa haal raha

tumhaare ba'ad kisi se fareb khaaya nahin
tumhaara mujh se bichadna bhi nek-faal raha

ghamon ko haavi na hone diya kabhi dil par
shab-e-firaq bhi zikr-e-shab-e-visaal raha

kahaan haram hai kidhar ka'ba hai kidhar rukh hai
namaaz-e-ishq mein us ka kahaan khayal raha

ghazal usi ki thi haavi tamaam ghazalon par
wahan bhi raunak-e-bazm-e-sukhan kamaal raha

वो बुझ गया तो अँधेरों को भी मलाल रहा
वो इक चराग़ जो जलने में भी बे-मिसाल रहा

कभी भुला न सका दिल-शिकस्तगी अपनी
जुड़ा तो जुड़ के भी उस आइने में बाल रहा

मिरी हयात ने हातिम बना दिया मुझ को
हर इक सवाल के बा'द इक नया सवाल रहा

हमेशा मैं ने भी नाकामियों से काम लिया
तमाम-उम्र मिरा 'मीर' जैसा हाल रहा

तुम्हारे बा'द किसी से फ़रेब खाया नहीं
तुम्हारा मुझ से बिछड़ना भी नेक-फ़ाल रहा

ग़मों को हावी न होने दिया कभी दिल पर
शब-ए-फ़िराक़ भी ज़िक्र-ए-शब-ए-विसाल रहा

कहाँ हरम है किधर का'बा है किधर रुख़ है
नमाज़-ए-इश्क़ में उस का कहाँ ख़याल रहा

ग़ज़ल उसी की थी हावी तमाम ग़ज़लों पर
वहाँ भी रौनक-ए-बज़्म-ए-सुख़न 'कमाल' रहा

- Ahmad Kamal Hashmi
0 Likes

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Hashmi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Hashmi

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari