us ki aankhon mein kuch nami si hai | उस की आँखों में कुछ नमी सी है - Ahmad Kamal Hashmi

us ki aankhon mein kuch nami si hai
waqt ki nabz bhi thami si hai

har taraf jun ki tuun hai har ik shay
kyun tabi'at mein barhmi si hai

koi ab tak samajh nahin paaya
zindagi goonge aadmi si hai

meri jaan teri surkhi-e-lab mein
khoon dil ki mere kami si hai

us se haasil nahin firaar kabhi
dard ik cheez laazmi si hai

vo fasurda nazar nahin aata
sirf poshaak maatami si hai

mera dil bhari ho gaya hai kamaal
us ki yaadon ki tah jamee si hai

उस की आँखों में कुछ नमी सी है
वक़्त की नब्ज़ भी थमी सी है

हर तरफ़ जूँ की तूँ है हर इक शय
क्यूँ तबीअ'त में बरहमी सी है

कोई अब तक समझ नहीं पाया
ज़िंदगी गूँगे आदमी सी है

मेरी जाँ तेरी सुर्ख़ी-ए-लब में
ख़ून दिल की मिरे कमी सी है

उस से हासिल नहीं फ़रार कभी
दर्द इक चीज़ लाज़मी सी है

वो फ़सुर्दा नज़र नहीं आता
सिर्फ़ पोशाक मातमी सी है

मेरा दिल भारी हो गया है 'कमाल'
उस की यादों की तह जमी सी है

- Ahmad Kamal Hashmi
0 Likes

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Hashmi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Hashmi

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari