jaane kaisa ye noor hai mujh mein | जाने कैसा ये नूर है मुझ में - Ahmad Kamal Hashmi

jaane kaisa ye noor hai mujh mein
chaand koi zaroor hai mujh mein

koi padhta nahin kabhi us ko
vo jo bainssootoor hai mujh mein

jaane kis mein hai aajizi meri
jaane kis ka ghuroor hai mujh mein

kahi baahar nazar nahin aata
mera dushman zaroor hai mujh mein

kirchiyaan chubh rahi hain seene mein
aaina choor choor hai mujh mein

muddaton tak safar mein rah kar bhi
koi manzil se door hai mujh mein

muntazir hai kisi tajalli ka
ek jo koh-e-toor hai mujh mein

main ye mehsoos kar raha hoon kamaal
koi mujh se hi door hai mujh mein

जाने कैसा ये नूर है मुझ में
चाँद कोई ज़रूर है मुझ में

कोई पढ़ता नहीं कभी उस को
वो जो बैनस्सुतूर है मुझ में

जाने किस में है आजिज़ी मेरी
जाने किस का ग़ुरूर है मुझ में

कहीं बाहर नज़र नहीं आता
मेरा दुश्मन ज़रूर है मुझ में

किर्चियाँ चुभ रही हैं सीने में
आइना चूर चूर है मुझ में

मुद्दतों तक सफ़र में रह कर भी
कोई मंज़िल से दूर है मुझ में

मुंतज़िर है किसी तजल्ली का
एक जो कोह-ए-तूर है मुझ में

मैं ये महसूस कर रहा हूँ 'कमाल'
कोई मुझ से ही दूर है मुझ में

- Ahmad Kamal Hashmi
0 Likes

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Hashmi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Hashmi

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari