husn-e-bazaar to hai garmi-e-baazaar nahin | हुस्न-ए-बाज़ार तो है गर्मी-ए-बाज़ार नहीं - Ahmad Kamal Hashmi

husn-e-bazaar to hai garmi-e-baazaar nahin
bechne waale hain sab koi khareedaar nahin

aao batlaayein ki va'don ki haqeeqat kya hai
ped unche hain sabhi koi samar-daar nahin

dil ki uftaad mizaaji se pareshaan hoon main
thi talab jis ki ab us ka hi talabgaar nahin

ab jise dekho wahi ghoom raha hai baandhe
dastiyaab ab kisi dookaan pe dastaar nahin

ai zulekha tu ne jo daam lagaaya ab ke
us pe yusuf to koi bikne ko taiyyaar nahin

aasmaan chat hai zameen farsh kushaada hai makaan
mera ghar vo hai ki jis ke dar-o-deewar nahin

hai sukhan-fahmi ka har shakhs ko da'wa lekin
kaun aisa hai jo ghalib ka taraf-daar nahin

ai kamaal aise mein kya lutf-e-safar paoge
raah mein dhoop nahin sang nahin khaar nahin

हुस्न-ए-बाज़ार तो है गर्मी-ए-बाज़ार नहीं
बेचने वाले हैं सब कोई ख़रीदार नहीं

आओ बतलाएँ कि वा'दों की हक़ीक़त क्या है
पेड़ ऊँचे हैं सभी कोई समर-दार नहीं

दिल की उफ़्ताद मिज़ाजी से परेशाँ हूँ मैं
थी तलब जिस की अब उस का ही तलबगार नहीं

अब जिसे देखो वही घूम रहा है बाँधे
दस्तियाब अब किसी दूकान पे दस्तार नहीं

ऐ ज़ुलेख़ा तू ने जो दाम लगाया अब के
उस पे यूसुफ़ तो कोई बिकने को तय्यार नहीं

आसमाँ छत है ज़मीं फ़र्श कुशादा है मकाँ
मेरा घर वो है कि जिस के दर-ओ-दीवार नहीं

है सुख़न-फ़हमी का हर शख़्स को दा'वा लेकिन
कौन ऐसा है जो 'ग़ालिब' का तरफ़-दार नहीं

ऐ 'कमाल' ऐसे में क्या लुत्फ़-ए-सफ़र पाओगे
राह में धूप नहीं संग नहीं ख़ार नहीं

- Ahmad Kamal Hashmi
0 Likes

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Hashmi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Hashmi

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari