aah bharta hoon to bharne bhi nahin deta hai | आह भरता हूँ तो भरने भी नहीं देता है - Ahmad Kamal Hashmi

aah bharta hoon to bharne bhi nahin deta hai
aur vo khaamoshi se marne bhi nahin deta hai

nakhuda kashti ko saahil se lagata bhi nahin
beech dariya mein utarne bhi nahin deta hai

doosra zakham laga deta hai dil par mere
pehle ko theek se bharne bhi nahin deta hai

mere aansuon se vo sang pighlata bhi nahin
sar patak kar mujhe marne bhi nahin deta hai

baaz aata bhi nahin zarb lagaane se vo
toot kar mujh ko bikharna bhi nahin deta hai

mere sapnon ko vo sach bhi nahin hone deta
magar ummeed ko marne bhi nahin deta hai

aaine ko mere chehre se shikaayat hai bahut
aaina mujh ko sanwarne bhi nahin deta hai

us ki mehfil mein pahunchne ki tamannaa mat kar
vo to kooche se guzarne bhi nahin deta hai

आह भरता हूँ तो भरने भी नहीं देता है
और वो ख़ामोशी से मरने भी नहीं देता है

नाख़ुदा कश्ती को साहिल से लगाता भी नहीं
बीच दरिया में उतरने भी नहीं देता है

दूसरा ज़ख़्म लगा देता है दिल पर मेरे
पहले को ठीक से भरने भी नहीं देता है

मेरे आँसुओं से वो संग पिघलता भी नहीं
सर पटक कर मुझे मरने भी नहीं देता है

बाज़ आता भी नहीं ज़र्ब लगाने से वो
टूट कर मुझ को बिखरने भी नहीं देता है

मेरे सपनों को वो सच भी नहीं होने देता
मगर उम्मीद को मरने भी नहीं देता है

आइने को मिरे चेहरे से शिकायत है बहुत
आइना मुझ को सँवरने भी नहीं देता है

उस की महफ़िल में पहुँचने की तमन्ना मत कर
वो तो कूचे से गुज़रने भी नहीं देता है

- Ahmad Kamal Hashmi
1 Like

Nadii Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Hashmi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Hashmi

Similar Moods

As you were reading Nadii Shayari Shayari