ameer-e-shahr ki chaukhat pe ja ke laut aaya | अमीर-ए-शहर की चौखट पे जा के लौट आया - Ahmad Kamal Hashmi

ameer-e-shahr ki chaukhat pe ja ke laut aaya
ghareeb-e-waqt angootha dikha ke laut aaya

laga raha tha main badh chadh ke boliyaan lekin
khareeda kuch nahin qeemat badha ke laut aaya

kasar raahi-sahi kar denge aandhiyaan poori
main us darakht ko jad se hila ke laut aaya

main chaand choone ki khwaahish mein ghar se nikla tha
aur apni palkon pe taare saja ke laut aaya

bujha diya tha jise sar-firi hawaon ne
main us charaagh ko phir se jala ke laut aaya

vo ibtida-e-safar mein hi khul gaya mujh par
main us ke saath zara door ja ke laut aaya

kamaal us ne mere dil ka haal poocha tha
main us ko meer ki ghazlein suna ke laut aaya

अमीर-ए-शहर की चौखट पे जा के लौट आया
ग़रीब-ए-वक़्त अँगूठा दिखा के लौट आया

लगा रहा था मैं बढ़ चढ़ के बोलियाँ लेकिन
ख़रीदा कुछ नहीं क़ीमत बढ़ा के लौट आया

कसर रही-सही कर देंगी आँधियाँ पूरी
मैं उस दरख़्त को जड़ से हिला के लौट आया

मैं चाँद छूने की ख़्वाहिश में घर से निकला था
और अपनी पलकों पे तारे सजा के लौट आया

बुझा दिया था जिसे सर-फिरी हवाओं ने
मैं उस चराग़ को फिर से जला के लौट आया

वो इब्तिदा-ए-सफ़र में ही खुल गया मुझ पर
मैं उस के साथ ज़रा दूर जा के लौट आया

'कमाल' उस ने मिरे दिल का हाल पूछा था
मैं उस को 'मीर' की ग़ज़लें सुना के लौट आया

- Ahmad Kamal Hashmi
0 Likes

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Hashmi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Hashmi

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari