dil mujhe samjhaata hai to dil ko samjhaata hoon main | दिल मुझे समझाता है तो दिल को समझाता हूँ मैं - Ahmad Kamal Hashmi

dil mujhe samjhaata hai to dil ko samjhaata hoon main
jaane kaise aql ki baaton mein aa jaata hoon main

din mujhe har din bana leta hai apna yarghamaal
raat jab aati hai to khud ko chhuda laata hoon main

koi jhoota wa'da bhi karta nahin hai vo kabhi
khud umeedein baandh leta hoon bahl jaata hoon main

zinda rahne ka mujhe fan aaj tak aaya nahin
phir bhi jeena chahta hoon kya gazab dhaata hoon main

daal kar aankhon mein aankhen karne hai kuch guftugoo
zindagi ai zindagi to ruk abhi aata hoon main

main ne dariya ke hawaale kar diya hai tan-badan
maujon ki rau mein khamoshi se baha jaata hoon main

ab na aayega mere sher'on mein tera tazkira
ai meri jaan-e-ghazal teri qasam khaata hoon main

shiddat-e-gham hi ilaaj-e-gham bhi hota hai kamaal
badhti hain taariqiyaan to raushni paata hoon main

दिल मुझे समझाता है तो दिल को समझाता हूँ मैं
जाने कैसे अक़्ल की बातों में आ जाता हूँ मैं

दिन मुझे हर दिन बना लेता है अपना यर्ग़माल
रात जब आती है तो ख़ुद को छुड़ा लाता हूँ मैं

कोई झूटा वा'दा भी करता नहीं है वो कभी
ख़ुद उमीदें बाँध लेता हूँ बहल जाता हूँ मैं

ज़िंदा रहने का मुझे फ़न आज तक आया नहीं
फिर भी जीना चाहता हूँ क्या ग़ज़ब ढाता हूँ मैं

डाल कर आँखों में आँखें करनी है कुछ गुफ़्तुगू
ज़िंदगी ऐ ज़िंदगी तो रुक अभी आता हूँ मैं

मैं ने दरिया के हवाले कर दिया है तन-बदन
मौजों की रौ में ख़मोशी से बहा जाता हूँ मैं

अब न आएगा मिरे शे'रों में तेरा तज़्किरा
ऐ मिरी जान-ए-ग़ज़ल तेरी क़सम खाता हूँ मैं

शिद्दत-ए-ग़म ही इलाज-ए-ग़म भी होता है 'कमाल'
बढ़ती हैं तारीकियाँ तो रौशनी पाता हूँ मैं

- Ahmad Kamal Hashmi
0 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Hashmi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Hashmi

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari