masaafton ka kabhi ikhtitaam kar mujh mein | मसाफ़तों का कभी इख़्तिताम कर मुझ में - Ahmad Rizwan

masaafton ka kabhi ikhtitaam kar mujh mein
ai baad-e-asr kabhi to qiyaam kar mujh mein

azal ki aankh mein jo tu ne rakh diya tha kabhi
us ek khwaab ka manzar tamaam kar mujh mein

hai eistaada bachaane ke vaaste koi
mere vujood ki deewaar thaam kar mujh mein

main tere saamne tanhaa khada hoon husn-e-azal
shu'ur-e-khalq se hat kar kalaam kar mujh mein

मसाफ़तों का कभी इख़्तिताम कर मुझ में
ऐ बाद-ए-अस्र कभी तो क़ियाम कर मुझ में

अज़ल की आँख में जो तू ने रख दिया था कभी
उस एक ख़्वाब का मंज़र तमाम कर मुझ में

है ईस्तादा बचाने के वास्ते कोई
मिरे वजूद की दीवार थाम कर मुझ में

मैं तेरे सामने तन्हा खड़ा हूँ हुस्न-ए-अज़ल
शुऊ'र-ए-ख़ल्क़ से हट कर कलाम कर मुझ में

- Ahmad Rizwan
0 Likes

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Rizwan

As you were reading Shayari by Ahmad Rizwan

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Rizwan

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari