baat karne ka nahin saamne aane ka nahin | बात करने का नहीं सामने आने का नहीं - Ahmad Rizwan

baat karne ka nahin saamne aane ka nahin
vo mujhe meri aziyyat se bachaane ka nahin

door ik shehar hai jo paas bulaata hai mujhe
warna ye shehar kahi chhod ke jaane ka nahin

kya yoonhi raat ke pahluu mein kategi ye hayaat
kya koi shehar ke logon ko jagaane ka nahin

ajnabi log hain main jin mein ghira rehta hoon
aashna koi yahan mere fasaane ka nahin

ye jo ik shehar hai ye jis pe tasarruf hai mera
main yahan koi bhi deewaar banaane ka nahin

baad muddat ke jo aaya tha wahi laut gaya
ab yahan koi charaagon ko jalane ka nahin

aane waali hai nayi subh zara der ke baad
kya koi raah-e-tamanna ko sajaane ka nahin

बात करने का नहीं सामने आने का नहीं
वो मुझे मेरी अज़िय्यत से बचाने का नहीं

दूर इक शहर है जो पास बुलाता है मुझे
वर्ना ये शहर कहीं छोड़ के जाने का नहीं

क्या यूँही रात के पहलू में कटेगी ये हयात
क्या कोई शहर के लोगों को जगाने का नहीं

अजनबी लोग हैं मैं जिन में घिरा रहता हूँ
आश्ना कोई यहाँ मेरे फ़साने का नहीं

ये जो इक शहर है ये जिस पे तसर्रुफ़ है मिरा
मैं यहाँ कोई भी दीवार बनाने का नहीं

बाद मुद्दत के जो आया था वही लौट गया
अब यहाँ कोई चराग़ों को जलाने का नहीं

आने वाली है नई सुब्ह ज़रा देर के बाद
क्या कोई राह-ए-तमन्ना को सजाने का नहीं

- Ahmad Rizwan
0 Likes

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Rizwan

As you were reading Shayari by Ahmad Rizwan

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Rizwan

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari