aankhen banata dasht ki wus'at ko dekhta
hairat banaane waale ki hairat ko dekhta
hota na koi kaar-e-zamaana mere supurd
bas apne kaarobaar-e-mohabbat ko dekhta
kar ke nagar nagar ka safar is zameen par
logon ki bood-o-baash o rivaayat ko dekhta
aata agar khayal shajar chaanv mein nahin
ghar se nikal ke dhoop ki hiddat ko dekhta
yun lag raha tha main koi sehra ka ped hoon
us shaam to agar meri haalat ko dekhta
ahmad vo izn-e-deed jo deta to ek shaam
khud par guzarne waali aziyyat ko dekhta
आँखें बनाता दश्त की वुसअत को देखता
हैरत बनाने वाले की हैरत को देखता
होता न कोई कार-ए-ज़माना मिरे सुपुर्द
बस अपने कारोबार-ए-मोहब्बत को देखता
कर के नगर नगर का सफ़र इस ज़मीन पर
लोगों की बूद-ओ-बाश ओ रिवायत को देखता
आता अगर ख़याल शजर छाँव में नहीं
घर से निकल के धूप की हिद्दत को देखता
यूँ लग रहा था मैं कोई सहरा का पेड़ हूँ
उस शाम तो अगर मिरी हालत को देखता
'अहमद' वो इज़्न-ए-दीद जो देता तो एक शाम
ख़ुद पर गुज़रने वाली अज़िय्यत को देखता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Rizwan
our suggestion based on Ahmad Rizwan
As you were reading Safar Shayari Shayari