shab dhale gumbad-e-asraar mein aa jaata hai | शब ढले गुम्बद-ए-असरार में आ जाता है

  - Ahmad Rizwan

shab dhale gumbad-e-asraar mein aa jaata hai
ek saaya dar-o-deewar mein aa jaata hai

main abhi ek hawaale se use dekhta hoon
dafa'atan vo naye kirdaar mein aa jaata hai

yun shab-e-hijr shab-e-wasl mein dhal jaati hai
koi mujh sa meri guftaar mein aa jaata hai

mujh sa deewaana koi hai jo tire naam ke saath
raqs karta hua bazaar mein aa jaata hai

jab vo karta hai naye dhab se meri baat ko radd
lutf kuchh aur bhi guftaar mein aa jaata hai

dekhna us ko bhi padta hai miyaan duniya mein
saamne jo yoonhi be-kaar mein aa jaata hai

ek din qais se ja milta hai vehshat ke tufail
jo bhi is dasht-e-sukhan-zaar mein aa jaata hai

main kabhi khud ko agar dhoondhna chaahoon ahmad
doosra ma'ariz-e-izhaar mein aa jaata hai

शब ढले गुम्बद-ए-असरार में आ जाता है
एक साया दर-ओ-दीवार में आ जाता है

मैं अभी एक हवाले से उसे देखता हूँ
दफ़अ'तन वो नए किरदार में आ जाता है

यूँ शब-ए-हिज्र शब-ए-वस्ल में ढल जाती है
कोई मुझ सा मिरी गुफ़्तार में आ जाता है

मुझ सा दीवाना कोई है जो तिरे नाम के साथ
रक़्स करता हुआ बाज़ार में आ जाता है

जब वो करता है नए ढब से मिरी बात को रद्द
लुत्फ़ कुछ और भी गुफ़्तार में आ जाता है

देखना उस को भी पड़ता है मियाँ दुनिया में
सामने जो यूँही बे-कार में आ जाता है

एक दिन क़ैस से जा मिलता है वहशत के तुफ़ैल
जो भी इस दश्त-ए-सुख़न-ज़ार में आ जाता है

मैं कभी ख़ुद को अगर ढूँढना चाहूँ 'अहमद'
दूसरा मा'रिज़-ए-इज़हार में आ जाता है

  - Ahmad Rizwan

Jashn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Rizwan

As you were reading Shayari by Ahmad Rizwan

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Rizwan

Similar Moods

As you were reading Jashn Shayari Shayari