abad ka raasta maaloom ho jaayega mujh mein | अबद का रास्ता मालूम हो जाएगा मुझ में - Ahmad Rizwan

abad ka raasta maaloom ho jaayega mujh mein
koi din aasmaan maadum ho jaayega mujh mein

sitaare silsila-dar-silsila raushan rahenge
magar ik aaina maghoom ho jaayega mujh mein

koi poochhega mujh se raat ki saari kahaani
koi awaaz se mahroom ho jaayega mujh mein

tilism-e-khwaab bhi khul jaayega us roz ahmad
ayaan har baat ka mafhoom ho jaayega mujh mein

अबद का रास्ता मालूम हो जाएगा मुझ में
कोई दिन आसमाँ मादूम हो जाएगा मुझ में

सितारे सिलसिला-दर-सिलसिला रौशन रहेंगे
मगर इक आइना मग़्मूम हो जाएगा मुझ में

कोई पूछेगा मुझ से रात की सारी कहानी
कोई आवाज़ से महरूम हो जाएगा मुझ में

तिलिस्म-ए-ख़्वाब भी खुल जाएगा उस रोज़ 'अहमद'
अयाँ हर बात का मफ़्हूम हो जाएगा मुझ में

- Ahmad Rizwan
0 Likes

Protest Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Rizwan

As you were reading Shayari by Ahmad Rizwan

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Rizwan

Similar Moods

As you were reading Protest Shayari Shayari