na faisla tumhaara hai na faisla hamaara hai
ye waqt ke qazzzaq ne chhupa ke teer maara hai
faqih-e-shahr zindagi ki aankh ka jo noor tha
vo main ne tere aastaan pe khwaab la ke waara hai
sitaar-gaan ki bazm mein udaas chaand dekhna
na-jaane kaisa khwaab hai na-jaane kya ishaara hai
hamein ye khwaab titliyan talaashna hain umr-bhar
ki haath khaali nikle hain charaagh hai na taara hai
pas-e-ghubaar waqt yun pukaarta hai kaun ye
ki hijr-o-gham ka silsila batao kyun gawara hai
sajjaad bhi malool hai ki qaafila hai shaam ka
falak pe ek chaand hai jo aakhiri sahaara hai
न फ़ैसला तुम्हारा है न फ़ैसला हमारा है
ये वक़्त के क़ज़्ज़ाक़ ने छुपा के तीर मारा है
फ़क़ीह-ए-शहर ज़िंदगी की आँख का जो नूर था
वो मैं ने तेरे आस्ताँ पे ख़्वाब ला के वारा है
सितार-गाँ की बज़्म में उदास चाँद देखना
न-जाने कैसा ख़्वाब है न-जाने क्या इशारा है
हमें ये ख़्वाब तितलियाँ तलाशना हैं उम्र-भर
कि हाथ ख़ाली निकले हैं चराग़ है न तारा है
पस-ए-ग़ुबार वक़्त यूँ पुकारता है कौन ये
कि हिज्र-ओ-ग़म का सिलसिला बताओ क्यूँ गवारा है
'सज्जाद' भी मलूल है कि क़ाफ़िला है शाम का
फ़लक पे एक चाँद है जो आख़िरी सहारा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Sajjad Babar
our suggestion based on Ahmad Sajjad Babar
As you were reading Bekhayali Shayari Shayari