aankh rakhe hue sitaare par
kashtiyaan ja lagin kinaare par
waqt padne pe aazma lena
jaan de denge ik ishaare par
mod par us ne mud ke dekha tha
jee rahe hain isee sahaare par
jheel aankhon mein surmageen aansu
chaand be-khud tha is nazaare par
lab-o-rukhsaar aatishi us ke
shabnami raqs tha sharaare par
ot mein phir chhapa liya maa ne
laash maa ki giri dulaare par
shehar saara chhato pe tha babar
chaand utara tha phir chaubaare par
आँख रक्खे हुए सितारे पर
कश्तियाँ जा लगीं किनारे पर
वक़्त पड़ने पे आज़मा लेना
जान दे देंगे इक इशारे पर
मोड़ पर उस ने मुड़ के देखा था
जी रहे हैं इसी सहारे पर
झील आँखों में सुर्मगीं आँसू
चाँद बे-ख़ुद था इस नज़ारे पर
लब-ओ-रुख़्सार आतिशीं उस के
शबनमी रक़्स था शरारे पर
ओट में फिर छपा लिया माँ ने
लाश माँ की गिरी दुलारे पर
शहर सारा छतों पे था 'बाबर'
चाँद उतरा था फिर चौबारे पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Sajjad Babar
our suggestion based on Ahmad Sajjad Babar
As you were reading Jashn Shayari Shayari