kab vo bhala hamaari mohabbat mein aa gaye
haaye vo log jo ki zaroorat mein aa gaye
vaise to un ko saaye se uljhan bala ki thi
mome badan the dhoop ki nafrat mein aa gaye
reza vujood mera abhi tak hawa mein hai
tum to qareeb mere sharaarat mein aa gaye
kuchh to hamein bhi jaagte rahne ka shauq tha
kuchh ratjage bhi khwaab ki qeemat mein aa gaye
awaaz de raha hai abhi kooza-gar mujhe
yun lag raha hai chaak se ujlat mein aa gaye
yaadon ke is hujoom se furqat nahin hamein
tujh se bichhad ke kaisi ye furqat mein aa gaye
ab aankh se pila do mere yaar zindagi
ki khaal-o-khud ke paar to vehshat mein aa gaye
ya'ni hamaare naam ki shohrat hai auj par
ya'ni faqih-e-shahr ki tohmat mein aa gaye
bhaai sabhi pasand ki shaadi ke haq mein the
behnon ne khwaab dekhe to ghairat mein aa gaye
shaahi mizaaj rakhte hain munsif sabhi yahan
babar ye kis tarah ki adaalat mein aa gaye
कब वो भला हमारी मोहब्बत में आ गए
हाए वो लोग जो कि ज़रूरत में आ गए
वैसे तो उन को साए से उलझन बला की थी
मोमी बदन थे धूप की नफ़रत में आ गए
रेज़ा वजूद मेरा अभी तक हवा में है
तुम तो क़रीब मेरे शरारत में आ गए
कुछ तो हमें भी जागते रहने का शौक़ था
कुछ रतजगे भी ख़्वाब की क़ीमत में आ गए
आवाज़ दे रहा है अभी कूज़ा-गर मुझे
यूँ लग रहा है चाक से उजलत में आ गए
यादों के इस हुजूम से फ़ुर्सत नहीं हमें
तुझ से बिछड़ के कैसी ये फ़ुर्सत में आ गए
अब आँख से पिला दो मिरे यार ज़िंदगी
कि ख़ाल-ओ-ख़द के पार तो वहशत में आ गए
या'नी हमारे नाम की शोहरत है औज पर
या'नी फ़क़ीह-ए-शहर की तोहमत में आ गए
भाई सभी पसंद की शादी के हक़ में थे
बहनों ने ख़्वाब देखे तो ग़ैरत में आ गए
शाही मिज़ाज रखते हैं मुंसिफ़ सभी यहाँ
'बाबर' ये किस तरह की अदालत में आ गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Sajjad Babar
our suggestion based on Ahmad Sajjad Babar
As you were reading Hijrat Shayari Shayari