jaagti shab khuda-haafiz | जागती शब ख़ुदा-हाफ़िज़ - Ahmad Sajjad Babar

jaagti shab khuda-haafiz
ja chuke sab khuda-haafiz

dasht mujh ko bulaata hai
zindagi ab khuda-haafiz

raasta rokte kyun ho
kah diya jab khuda-haafiz

kha chuka daana-e-gandum
meherbaan rab khuda-haafiz

aakhiri saans jab nikli
likh diya tab khuda-haafiz

ab chalo raat hai babar
shaam ki chhab khuda-haafiz

जागती शब ख़ुदा-हाफ़िज़
जा चुके सब ख़ुदा-हाफ़िज़

दश्त मुझ को बुलाता है
ज़िंदगी अब ख़ुदा-हाफ़िज़

रास्ता रोकते क्यूँ हो
कह दिया जब ख़ुदा-हाफ़िज़

खा चुका दाना-ए-गंदुम
मेहरबाँ रब ख़ुदा-हाफ़िज़

आख़िरी साँस जब निकली
लिख दिया तब ख़ुदा-हाफ़िज़

अब चलो रात है 'बाबर'
शाम की छब ख़ुदा-हाफ़िज़

- Ahmad Sajjad Babar
0 Likes

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Sajjad Babar

As you were reading Shayari by Ahmad Sajjad Babar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Sajjad Babar

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari