bujhti hui aankhon ka akela vo diya tha | बुझती हुई आँखों का अकेला वो दिया था - Ahmad Sajjad Babar

bujhti hui aankhon ka akela vo diya tha
hijraan ki kaddi shab mein aziyyat se lada tha

rukta hi nahin tujh pe nigaahon ka tasalsul
kal shaam tire haath mein kangan bhi naya tha

ik chashm-e-tavajjoh se udhadta hi gaya tha
vo zakham ki jis ko badi mehnat se siya tha

bargad ke isee ped pe utarenge parinde
sailaab-zada ghar ke jo aangan mein khada tha

darvesh ki kutiya ke ye laashe pe bani hai
veeraan shikasta si haveli pe likha tha

tasveer mein us ko hi sar-e-baam dikhaaya
mazdoor zamaane ke jo paanv mein pada tha

vo zakham judaai ka bhala kaise dikhega
malba jo mere jism ka andar ko gira tha

babar ho ki behka hua jhonka ya sitaara
teri hi gali mein humein jaata vo mila tha

बुझती हुई आँखों का अकेला वो दिया था
हिज्राँ की कड़ी शब में अज़िय्यत से लड़ा था

रुकता ही नहीं तुझ पे निगाहों का तसलसुल
कल शाम तिरे हाथ में कंगन भी नया था

इक चश्म-ए-तवज्जोह से उधड़ता ही गया था
वो ज़ख़्म कि जिस को बड़ी मेहनत से सिया था

बरगद के इसी पेड़ पे उतरेंगे परिंदे
सैलाब-ज़दा घर के जो आँगन में खड़ा था

दरवेश की कुटिया के ये लाशे पे बनी है
वीरान शिकस्ता सी हवेली पे लिखा था

तस्वीर में उस को ही सर-ए-बाम दिखाया
मज़दूर ज़माने के जो पाँव में पड़ा था

वो ज़ख़्म जुदाई का भला कैसे दिखेगा
मलबा जो मिरे जिस्म का अंदर को गिरा था

'बाबर' हो कि बहका हुआ झोंका या सितारा
तेरी ही गली में हमें जाता वो मिला था

- Ahmad Sajjad Babar
0 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Sajjad Babar

As you were reading Shayari by Ahmad Sajjad Babar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Sajjad Babar

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari