jis jagah aagahi muqayyad hai | जिस जगह आगही मुक़य्यद है - Ahmad Sajjad Babar

jis jagah aagahi muqayyad hai
us jagah zindagi muqayyad hai

bujh rahe hain gulaab se chehre
kya yahan taazgi muqayyad hai

chaand jis ka tawaaf karta tha
ab wahan khaak si muqayyad hai

ek arzee liye main haazir hoon
munsifaa raushni muqayyad hai

khaak-e-karbala mein aaj bhi logo
ik ajab tishnagi muqayyad hai

kacche ghar ke naseeb mein babar
jaa-b-jaa khastagi muqayyad hai

जिस जगह आगही मुक़य्यद है
उस जगह ज़िंदगी मुक़य्यद है

बुझ रहे हैं गुलाब से चेहरे
क्या यहाँ ताज़गी मुक़य्यद है

चाँद जिस का तवाफ़ करता था
अब वहाँ ख़ाक सी मुक़य्यद है

एक अर्ज़ी लिए मैं हाज़िर हूँ
मुंसिफ़ा रौशनी मुक़य्यद है

ख़ाक-ए-कर्बल में आज भी लोगो
इक अजब तिश्नगी मुक़य्यद है

कच्चे घर के नसीब में 'बाबर'
जा-ब-जा ख़स्तगी मुक़य्यद है

- Ahmad Sajjad Babar
0 Likes

Raushni Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Sajjad Babar

As you were reading Shayari by Ahmad Sajjad Babar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Sajjad Babar

Similar Moods

As you were reading Raushni Shayari Shayari