raat dekha tha bhaagta jungle | रात देखा था भागता जंगल - Ahmad Sajjad Babar

raat dekha tha bhaagta jungle
ek vehshat mein haanfta jungle

ik shikaari ne faakhta maari
dard maare tha kaanpata jungle

mujh ko apna hi khauf hai sahab
mere andar hai jaagta jungle

baarishon mein dhamaal padti hai
boond pee kar hai naachta jungle

kis ne boye hain sahan mein kaante
kaun ghar ghar hai baantaa jungle

raat basti mein phir utarti hai
pehle us ko hai paalta jungle

ab darinde hain shehar mein firte
kaash babar na kaatta jungle

रात देखा था भागता जंगल
एक वहशत में हाँफता जंगल

इक शिकारी ने फ़ाख़्ता मारी
दर्द मारे था काँपता जंगल

मुझ को अपना ही ख़ौफ़ है साहब
मेरे अंदर है जागता जंगल

बारिशों में धमाल पड़ती है
बूँद पी कर है नाचता जंगल

किस ने बोए हैं सहन में काँटे
कौन घर घर है बाँटता जंगल

रात बस्ती में फिर उतरती है
पहले उस को है पालता जंगल

अब दरिंदे हैं शहर में फिरते
काश 'बाबर' न काटता जंगल

- Ahmad Sajjad Babar
0 Likes

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Sajjad Babar

As you were reading Shayari by Ahmad Sajjad Babar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Sajjad Babar

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari