inikaas-e-tishnagi sehra bhi hai dariya bhi hai | इनइकास-ए-तिश्नगी सहरा भी है दरिया भी है - Ahmad Shahryar

inikaas-e-tishnagi sehra bhi hai dariya bhi hai
tar-b-tar ye raushni sehra bhi hai dariya bhi hai

aag par mera tasarruf aab par meri girift
meri mutthi mein abhi sehra bhi hai dariya bhi hai

jheel mein thehra hua hai us ka aks-e-aatisheen
aaine mein is ghadi sehra bhi hai dariya bhi hai

jal uthe yaadon ki qandeelen sadaaein doob jaayen
dar-haqeeqat khaamoshi sehra bhi hai dariya bhi hai

zinda laut aaya hoon jungle se to kya jaa-e-malaal
mere raaste mein abhi sehra bhi hai dariya bhi hai

koi kheme raakh kar de koi baazu cheen le
ek si gharaat-gari sehra bhi hai dariya bhi hai

ret par rakhoon tujhe ya bahte paani mein bahaau'n
dekh ai tishna-labi sehra bhi hai dariya bhi hai

tu bagoola hai ki hai girdaab ai raqs-dawaam
faisla kar le abhi sehra bhi hai dariya bhi hai

dasht bhi us ki rivaayat mein hai mauj-e-aab bhi
meri aankhon ki nami sehra bhi hai dariya bhi hai

tu sambhaalega bhala kaise ye saari saltanat
shehryaar'-shaayri sehra bhi hai dariya bhi hai

इनइकास-ए-तिश्नगी सहरा भी है दरिया भी है
तर-ब-तर ये रौशनी सहरा भी है दरिया भी है

आग पर मेरा तसर्रुफ़ आब पर मेरी गिरफ़्त
मेरी मुट्ठी में अभी सहरा भी है दरिया भी है

झील में ठहरा हुआ है उस का अक्स-ए-आतिशीं
आइने में इस घड़ी सहरा भी है दरिया भी है

जल उठें यादों की क़ंदीलें, सदाएँ डूब जाएँ
दर-हक़ीक़त ख़ामुशी सहरा भी है दरिया भी है

ज़िंदा लौट आया हूँ जंगल से तो क्या जा-ए-मलाल
मेरे रस्ते में अभी सहरा भी है दरिया भी है

कोई ख़ेमे राख कर दे कोई बाज़ू छीन ले
एक सी ग़ारत-गरी सहरा भी है दरिया भी है

रेत पर रख्खूँ तुझे या बहते पानी में बहाऊँ
देख ऐ तिश्ना-लबी सहरा भी है दरिया भी है

तू बगूला है कि है गिर्दाब ऐ रक़्स-दवाम
फ़ैसला कर ले अभी सहरा भी है दरिया भी है

दश्त भी उस की रिवायत में है मौज-ए-आब भी
मेरी आँखों की नमी सहरा भी है दरिया भी है

तू सँभालेगा भला कैसे ये सारी सल्तनत
'शहरयार'-शायरी सहरा भी है दरिया भी है

- Ahmad Shahryar
0 Likes

Dariya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Shahryar

As you were reading Shayari by Ahmad Shahryar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Shahryar

Similar Moods

As you were reading Dariya Shayari Shayari