diya naseeb mein nahin sitaara bakht mein nahin | दिया नसीब में नहीं सितारा बख़्त में नहीं

  - Ahmad Shahryar

diya naseeb mein nahin sitaara bakht mein nahin
to kya sharaar bhi vajood-e-sang-e-sakht mein nahin

meri baqa ka raaz hai musaafirat musaafirat
so naqsh-e-paa baghair mere saaz-o-rakht mein nahin

mujhe hai shehar ke gharo se sirf is qadar gila
ki bhaai husn aasmaan-e-lakht-lakht mein nahin

mera kamaal munhasir hai mere ikhtisaar par
meri numoo ka shaiba kisi darakht mein nahin

faqeer-e-shahr bhi raha hoon shehryaar bhi magar
jo itminaan faqr mein hai taaj-o-takht mein nahin

दिया नसीब में नहीं सितारा बख़्त में नहीं
तो क्या शरार भी वजूद-ए-संग-ए-सख़्त में नहीं

मिरी बक़ा का राज़ है मुसाफ़िरत मुसाफ़िरत
सो नक़्श-ए-पा बग़ैर मेरे साज़-ओ-रख़्त में नहीं

मुझे है शहर के घरों से सिर्फ़ इस क़दर गिला
कि भाई हुस्न आसमान-ए-लख़्त-लख़्त में नहीं

मिरा कमाल मुनहसिर है मेरे इख़्तिसार पर
मिरी नुमू का शाइबा किसी दरख़्त में नहीं

फ़क़ीर-ए-शहर भी रहा हूँ 'शहरयार' भी मगर
जो इत्मिनान फ़क़्र में है ताज-ओ-तख़्त में नहीं

  - Ahmad Shahryar

Raaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Shahryar

As you were reading Shayari by Ahmad Shahryar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Shahryar

Similar Moods

As you were reading Raaz Shayari Shayari