phail raha hai ye jo khaali hone ka dar mujh mein
aakhir-kaar simat aayega mera baahar mujh mein
ro doonga to ashk nahin aankhon se ret bahegi
khoon kahaan kuchh sukhe dariya hain sehra bhar mujh mein
paharon jalta rehta hoon main jaise koi suraj
ek kiran jab ruk jaati hai tujh se chan kar mujh mein
tu maujood hai main maadum hoon is ka matlab ye hai
tujh mein jo napaaid hai pyaare vo hai mayassar mujh mein
qatra theek hai dariya hone mein nuksaan bahut hai
dekh to kaise doob raha hai mera lashkar mujh mein
फैल रहा है ये जो ख़ाली होने का डर मुझ में
आख़िर-कार सिमट आएगा मेरा बाहर मुझ में
रो दूँगा तो अश्क नहीं आँखों से रेत बहेगी
ख़ून कहाँ कुछ सूखे दरिया हैं सहरा भर मुझ में
पहरों जलता रहता हूँ मैं जैसे कोई सूरज
एक किरन जब रुक जाती है तुझ से छन कर मुझ में
तू मौजूद है मैं मादूम हूँ इस का मतलब ये है
तुझ में जो नापैद है प्यारे वो है मयस्सर मुझ में
क़तरा ठीक है दरिया होने में नुक़सान बहुत है
देख तो कैसे डूब रहा है मेरा लश्कर मुझ में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Shahryar
our suggestion based on Ahmad Shahryar
As you were reading Samundar Shayari Shayari