aaina ban ke apna tamasha dikhaayein ham
yun saamne rahein ki nazar bhi na aayein ham
mumkin hai daur-e-jashn-e-charaaghaan ho jab yahan
vo teergi badhe ki sahife jalaaen ham
darpaish hai guzishta rutoon ka safar hamein
hairat na kar ki laut ke waapas na aayein ham
tawfeeq-e-sair-e-baagh agar ho to ab ki shaam
dil ki jagah shajar pe parinde banaayein ham
khaamosh ho raho ki sar-e-shahr-e-aarzoo
uftaad vo padi hai ki ab kya bataayein ham
आईना बन के अपना तमाशा दिखाएँ हम
यूँ सामने रहें कि नज़र भी न आएँ हम
मुमकिन है दौर-ए-जश्न-ए-चराग़ाँ हो जब यहाँ
वो तीरगी बढ़े कि सहीफ़े जलाएँ हम
दरपेश है गुज़िश्ता रुतों का सफ़र हमें
हैरत न कर कि लौट के वापस न आएँ हम
तौफ़ीक़-ए-सैर-ए-बाग़ अगर हो तो अब की शाम
दिल की जगह शजर पे परिंदे बनाएँ हम
ख़ामोश हो रहो कि सर-ए-शहर-ए-आरज़ू
उफ़्ताद वो पड़ी है कि अब क्या बताएँ हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Shahryar
our suggestion based on Ahmad Shahryar
As you were reading Manzil Shayari Shayari