vo mar gaya sadaa-e-nauha-gar mein kitni der hai
ki saanehaa to ho chuka khabar mein kitni der hai
hamaare shehar ki rivaayaton mein ek ye bhi tha
dua se qibl poochna asar mein kitni der hai
muqaabla hai raqs ka bagoola kab ka aa chuka
magar pata nahin abhi bhanwar mein kitni der hai
khuda-e-mehr aasmaan ujaal de ki yun na ho
diye ko poochna pade sehar mein kitni der hai
hazaar kuufa o halb guzar rahe hain roz o shab
main jis taraf chala hoon us nagar mein kitni der hai
khird ki tez dhoop mein junoon ka saaebaan khila
main beej bo chuka so ab shajar mein kitni der hai
abhi hamein guzaarni hai ek umr-e-mukhtasar
magar hamaari umr-e-mukhtasar mein kitni der hai
वो मर गया सदा-ए-नौहा-गर में कितनी देर है
कि सानेहा तो हो चुका ख़बर में कितनी देर है
हमारे शहर की रिवायतों में एक ये भी था
दुआ से क़ब्ल पूछना असर में कितनी देर है
मुक़ाबला है रक़्स का बगूला कब का आ चुका
मगर पता नहीं अभी भँवर में कितनी देर है
ख़दा-ए-महर आसमाँ उजाल दे कि यूँ न हो
दिए को पूछना पड़े सहर में कितनी देर है
हज़ार कूफ़ा ओ हलब गुज़र रहे हैं रोज़ ओ शब
मैं जिस तरफ़ चला हूँ उस नगर में कितनी देर है
ख़िरद की तेज़ धूप में जुनूँ का साएबाँ खिला
मैं बीज बो चुका सो अब शजर में कितनी देर है
अभी हमें गुज़ारनी है एक उम्र-ए-मुख़्तसर
मगर हमारी उम्र-ए-मुख़्तसर में कितनी देर है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Shahryar
our suggestion based on Ahmad Shahryar
As you were reading Shahr Shayari Shayari