ashk bhejen mauj ubhaaren abr jaari kijie | अश्क भेजें मौज उभारें अब्र जारी कीजिए - Ahmad Shahryar

ashk bhejen mauj ubhaaren abr jaari kijie
meherbaan sail-e-bala ki aabyaari kijie

ai charaagh-e-taaq-e-jaanaan ai hawaa-e-koo-e-dost
apni kaifiyyat zara hum par bhi taari kijie

shaam-e-hijraan mein sitaaron ko na thehraayein shareek
aaina-khaane mein aa kar khud-shumaari kijie

ashk-baari seena-chaaki dil-kharaashi ho chuki
lijye saahib ishq ka farmaan jaari kijie

hont kahte hain baha deeje lahu ashaar mein
zulf kahti hai miyaan tarkeeb bhari kijie

dekhiye maah o sitaara ghoomie arz o samaa
chaliye baahar baad-e-khud-sar ki sawaari kijie

ishq ka agla padaav main hoon main duniya-parast
al-madad ai qais ai farhaad yaari kijie

yun to malne se rahi ye saltanat so shehryaar
paanv pad kar roiyie minnat-guzaari kijie

अश्क भेजें मौज उभारें अब्र जारी कीजिए
मेहरबाँ सैल-ए-बला की आबयारी कीजिए

ऐ चराग़-ए-ताक़-ए-जानाँ ऐ हवा-ए-कू-ए-दोस्त
अपनी कैफ़िय्यत ज़रा हम पर भी तारी कीजिए

शाम-ए-हिज्राँ में सितारों को न ठहराएँ शरीक
आईना-ख़ाने में आ कर ख़ुद-शुमारी कीजिए

अश्क-बारी सीना-चाकी दिल-ख़राशी हो चुकी
लीजे साहिब इश्क़ का फ़रमान जारी कीजिए

होंट कहते हैं बहा दीजे लहू अशआर में
ज़ुल्फ़ कहती है मियाँ तरकीब भारी कीजिए

देखिए माह ओ सितारा घूमिए अर्ज़ ओ समा
चलिए बाहर बाद-ए-ख़ुद-सर की सवारी कीजिए

इश्क़ का अगला पड़ाव मैं हूँ मैं दुनिया-परस्त
अल-मदद ऐ क़ैस ऐ फ़रहाद यारी कीजिए

यूँ तो मलने से रही ये सल्तनत सो शहरयार
पाँव पड़ कर रोइए मिन्नत-गुज़ारी कीजिए

- Ahmad Shahryar
0 Likes

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Shahryar

As you were reading Shayari by Ahmad Shahryar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Shahryar

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari