khush nahin aaye biyaabaan meri veeraani ko | ख़ुश नहीं आए बयाबाँ मिरी वीरानी को - Ahmad Shahryar

khush nahin aaye biyaabaan meri veeraani ko
ghar bada chahiye is be-sar-o-saamaani ko

dhaal doon chashma-e-pur-harf ko aaine mein
apni awaaz mein rakh doon tiri hairaani ko

jaada-e-noor ko thokar pe sajaata hua main
dekhta rehta hoon rangon ki pur-afshaani ko

sar-e-sehra meri aankhon ka talaatum jaaga
mauja-e-reg ne sarshaar kiya paani ko

sajda-e-naqsh-e-kaf-e-pa-e-nigaaraan hi to hai
jis ne taabinda rakha hai meri peshaani ko

tujh se bhi kab hui tadbeer meri vehshat ki
tu bhi mutthi mein kahaan bhench saka paani ko

sard mausam ne thithurte hue suraj se kaha
chadar-e-abr to hai dhanp le uryaani ko

shehryaar apne kharaabe pe hukoomat hai meri
koi mujh sa ho to samjhe meri sultaani ko

ख़ुश नहीं आए बयाबाँ मिरी वीरानी को
घर बड़ा चाहिए इस बे-सर-ओ-सामानी को

ढाल दूँ चश्मा-ए-पुर-हर्फ़ को आईने में
अपनी आवाज़ में रख दूँ तिरी हैरानी को

जादा-ए-नूर को ठोकर पे सजाता हुआ मैं
देखता रहता हूँ रंगों की पुर-अफ़्शानी को

सर-ए-सहरा मिरी आँखों का तलातुम जागा
मौजा-ए-रेग ने सरशार किया पानी को

सज्दा-ए-नक़्श-ए-कफ़-ए-पा-ए-निगाराँ ही तो है
जिस ने ताबिंदा रखा है मिरी पेशानी को

तुझ से भी कब हुई तदबीर मिरी वहशत की
तू भी मुट्ठी में कहाँ भेंच सका पानी को

सर्द मौसम ने ठिठुरते हुए सूरज से कहा
चादर-ए-अब्र तो है ढाँप ले उर्यानी को

'शहरयार' अपने ख़राबे पे हुकूमत है मिरी
कोई मुझ सा हो तो समझे मिरी सुल्तानी को

- Ahmad Shahryar
0 Likes

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Shahryar

As you were reading Shayari by Ahmad Shahryar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Shahryar

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari