naye zamaanon ki chaap to sar pe aa khadi thi
meri samaat guzishta adwaar mein padi thi
udhar diye ka badan hawa se tha paara paara
idhar andhere ki aankh mein ik kiran gadi thi
falak pe tha aatishi darakhton ka ek jungle
aur un darakhton ke beech tareek jhonpdi thi
samaai kis tarah meri aankhon ki putaliyon mein
vo ek hairat jo aaine se bahut badi thi
jise pirooya tha apne haathon se tere gham ne
sadaa-e-giryaa mein hichkiyon ki ajab ladi thi
hamaari palkon pe raqs karte hue sharaare
aur aasmaan mein kahi sitaaron ki fuljadri thi
tuloo subh-e-hazaar khurshid ki dua par
bujhe charaagon ki raakh daaman pe aa padi thi
sabhi gameen the mere piyaale mein zahar pa kar
main mutmain tha ki meri takmeel ki ghadi thi
sawaal-e-rukh gulistaan mein aaya to phool thehra
labon ki hasrat sukhun mein pahunchee to pankhudi thi
ye log to un dinon bhi na-khush the shehryaara
ki jin dinon mere paas jaadu ki ik chhadi thi
नए ज़मानों की चाप तो सर पे आ खड़ी थी
मिरी समाअत गुज़िश्ता अदवार में पड़ी थी
उधर दिए का बदन हवा से था पारा पारा
इधर अंधेरे की आँख में इक किरन गड़ी थी
फ़लक पे था आतिशीं दरख़्तों का एक जंगल
और उन दरख़्तों के बीच तारीक झोंपड़ी थी
समाई किस तरह मेरी आँखों की पुतलियों में
वो एक हैरत जो आईने से बहुत बड़ी थी
जिसे पिरोया था अपने हाथों से तेरे ग़म ने
सदा-ए-गिर्या में हिचकियों की अजब लड़ी थी
हमारी पलकों पे रक़्स करते हुए शरारे
और आसमाँ में कहीं सितारों की फुलजड़ी थी
तुलूअ सुब्ह-ए-हज़ार ख़ुर्शीद की दुआ पर
बुझे चराग़ों की राख दामन पे आ पड़ी थी
सभी ग़मीं थे मिरे पियाले में ज़हर पा कर
मैं मुतमइन था कि मेरी तकमील की घड़ी थी
सवाल-ए-रुख़ गुलिस्ताँ में आया तो फूल ठहरा
लबों की हसरत सुख़न में पहुँची तो पंखुड़ी थी
ये लोग तो उन दिनों भी ना-ख़ुश थे 'शहरयारा'
कि जिन दिनों मेरे पास जादू की इक छड़ी थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Shahryar
our suggestion based on Ahmad Shahryar
As you were reading Sooraj Shayari Shayari