raaz-e-daroon-e-aastin kashmakash-e-bayaan mein tha | राज़-ए-दरून-ए-आस्तीं कश्मकश-ए-बयाँ में था - Ahmad Shahryar

raaz-e-daroon-e-aastin kashmakash-e-bayaan mein tha
aag abhi nafs mein thi shola abhi zabaan mein tha

vo jo kahi tha vo bhi main aur jo nahin tha vo bhi main
aap hi tha zameen par aap hi aasmaan mein tha

lams-e-sadaa-e-saaz ne zakham nihaal kar diye
ye to wahi hunar hai jo dasht-e-tabeeb-e-jaan mein tha

khwaab-e-ziyaan hain umr ka khwaab hain hasil-e-hayaat
is ka bhi tha yaqeen mujhe vo bhi mere gumaan mein tha

khanjar o dashna o sinaan ye to bahaane hain miyaan
aap na sharmasaar hon zakham sirisht-e-jaan mein tha

hadd-e-gumaan se ek shakhs door kahi chala gaya
main bhi wahi chala gaya main bhi guzishtagaaan mein tha

राज़-ए-दरून-ए-आस्तीं कश्मकश-ए-बयाँ में था
आग अभी नफ़स में थी शोला अभी ज़बाँ में था

वो जो कहीं था वो भी मैं और जो नहीं था वो भी मैं
आप ही था ज़मीन पर आप ही आसमाँ में था

लम्स-ए-सदा-ए-साज़ ने ज़ख़्म निहाल कर दिए
ये तो वही हुनर है जो दस्त-ए-तबीब-ए-जाँ में था

ख़्वाब-ए-ज़ियाँ हैं उम्र का ख़्वाब हैं हासिल-ए-हयात
इस का भी था यक़ीं मुझे वो भी मिरे गुमाँ में था

ख़ंजर ओ दशना ओ सिनाँ ये तो बहाने हैं मियाँ
आप न शर्मसार हों ज़ख़्म सिरिश्त-ए-जाँ में था

हद्द-ए-गुमाँ से एक शख़्स दूर कहीं चला गया
मैं भी वहीं चला गया मैं भी गुज़िश्तगाँ में था

- Ahmad Shahryar
0 Likes

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Shahryar

As you were reading Shayari by Ahmad Shahryar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Shahryar

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari