ghubaar-e-waqt ke gar aar-paar dekhiyega | ग़ुबार-ए-वक़्त के गर आर-पार देखिएगा - Ahmad Shahryar

ghubaar-e-waqt ke gar aar-paar dekhiyega
to ek pal mein mera shehsawaar dekhiyega

main ek baar use pherunga apni gardan par
aur aap bas mere khanjar ki dhaar dekhiyega

kisi ka naqsh nahin baandhiega aankhon mein
jise bhi dekhiye aaina-waar dekhiyega

kabhi na laut ke aayenge aap jaanta hoon
par aaiye to mera intizaar dekhiyega

na dastaken na sada kaun dar pe aaya hai
faqeer-e-shahr hai ya shehryaar dekhiyega

ग़ुबार-ए-वक़्त के गर आर-पार देखिएगा
तो एक पल में मिरा शहसवार देखिएगा

मैं एक बार उसे फेरूँगा अपनी गर्दन पर
और आप बस मिरे ख़ंजर की धार देखिएगा

किसी का नक़्श नहीं बाँधिएगा आँखों में
जिसे भी देखिए आईना-वार देखिएगा

कभी न लौट के आएँगे आप जानता हूँ
पर आइए तो मिरा इंतिज़ार देखिएगा

न दस्तकें न सदा कौन दर पे आया है
फ़क़ीर-ए-शहर है या शहरयार देखिएगा

- Ahmad Shahryar
0 Likes

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Shahryar

As you were reading Shayari by Ahmad Shahryar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Shahryar

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari