gumaan ke liye nahin yaqeen ke liye nahin | गुमान के लिए नहीं यक़ीन के लिए नहीं - Ahmad Shahryar

gumaan ke liye nahin yaqeen ke liye nahin
ajeeb rizq-e-khwaab hai zameen ke liye nahin

khayal jo qadam-kusha hai tere la-shu'ur mein
ghazaal hai magar subuktageen ke liye nahin

hawaaein gosh-bar-sada hain kis ke baab mein khamosh
nahin diye ki aayaa-e-mubeen ke liye nahin

use chhupao kushtagaaan ke dil mein raaz ki tarah
ye tegh-e-aabdaar aasteen ke liye nahin

main ek boodhe falsafi ke khwaab ka ameen hoon
mere labon ki saakht angabeen ke liye nahin

kamand ko kamaan ko abhi se tah na kijie
ki ye shikaar ke liye hain zeen ke liye nahin

jo teer ud chala hai vo mere liye hai shehryaar
yasaar ke liye nahin yameen ke liye nahin

गुमान के लिए नहीं यक़ीन के लिए नहीं
अजीब रिज़्क़-ए-ख़्वाब है ज़मीन के लिए नहीं

ख़याल जो क़दम-कुशा है तेरे ला-शुऊर में
ग़ज़ाल है मगर सुबुकतगीन के लिए नहीं

हवाएँ गोश-बर-सदा हैं किस के बाब में ख़मोश
नहीं दिए की आया-ए-मुबीन के लिए नहीं

उसे छुपाओ कुश्तगाँ के दिल में राज़ की तरह
ये तेग़-ए-आबदार आस्तीन के लिए नहीं

मैं एक बूढ़े फ़लसफ़ी के ख़्वाब का अमीन हूँ
मिरे लबों की साख़्त अंगबीन के लिए नहीं

कमंद को कमान को अभी से तह न कीजिए
कि ये शिकार के लिए हैं ज़ीन के लिए नहीं

जो तीर उड़ चला है वो मिरे लिए है 'शहरयार'
यसार के लिए नहीं यमीन के लिए नहीं

- Ahmad Shahryar
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Shahryar

As you were reading Shayari by Ahmad Shahryar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Shahryar

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari