aise hi nahin itni ye shauqeen hui hai | ऐसे ही नहीं इतनी ये शौक़ीन हुई है - Ahsan Gulfam

aise hi nahin itni ye shauqeen hui hai
tahreer meri khoon se rangeen hui hai

ai aql-e-gunahgaar tiri baat mein aa kar
shahr-e-dil-e-jazbaat ki tauheen hui hai

guzregi qayamat abhi ik samt gumaan se
aankhon ko khula rakhne ki talkin hui hai

is shahr-e-dil-aazaar ke har kooche gali mein
khwaabon ki badi dhoom se tadfeen hui hai

uthata hai deewaanon ka yahan roz janaaza
ai arz-e-watan tu bhi filisteen hui hai

hoon is liye gulfaam shagufta main gulon se
kaanton se mere husn ki tazain hui hai

ऐसे ही नहीं इतनी ये शौक़ीन हुई है
तहरीर मिरी ख़ून से रंगीन हुई है

ऐ अक़्ल-ए-गुनहगार तिरी बात में आ कर
शहर-ए-दिल-ए-जज़्बात की तौहीन हुई है

गुज़रेगी क़यामत अभी इक सम्त गुमाँ से
आँखों को खुला रखने की तल्क़ीन हुई है

इस शहर-ए-दिल-आज़ार के हर कूचे गली में
ख़्वाबों की बड़ी धूम से तदफ़ीन हुई है

उठता है दीवानों का यहाँ रोज़ जनाज़ा
ऐ अर्ज़-ए-वतन तू भी फ़िलिस्तीन हुई है

हूँ इस लिए 'गुलफ़ाम' शगुफ़्ता मैं गुलों से
काँटों से मिरे हुस्न की तज़ईन हुई है

- Ahsan Gulfam
0 Likes

Husn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Gulfam

As you were reading Shayari by Ahsan Gulfam

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Gulfam

Similar Moods

As you were reading Husn Shayari Shayari