ehsaan ek mujh pe ye kar jaana chahiye | एहसान एक मुझ पे ये कर जाना चाहिए - Ahsan Gulfam

ehsaan ek mujh pe ye kar jaana chahiye
un ko mohabbaton se mukar jaana chahiye

aashiq koi sitam ye bhala kab talak sahe
zulfon ko khud-bakhud hi sanwar jaana chahiye

dekho zamaana pehle se kitna badal gaya
ab zaahido tumhein bhi sudhar jaana chahiye

lashkar tamaam madd-e-muqaabil mein ek ke
dushman ko mere sharm se mar jaana chahiye

hijrat sahi nahin hai agar haakim-e-watan
be-ghar ko phir bata ki kidhar jaana chahiye

aakhir mujhe bhi hone laga jaan ka khayal
sheeraza saara mera bikhar jaana chahiye

एहसान एक मुझ पे ये कर जाना चाहिए
उन को मोहब्बतों से मुकर जाना चाहिए

आशिक़ कोई सितम ये भला कब तलक सहे
ज़ुल्फ़ों को ख़ुद-बख़ुद ही सँवर जाना चाहिए

देखो ज़माना पहले से कितना बदल गया
अब ज़ाहिदो तुम्हें भी सुधर जाना चाहिए

लश्कर तमाम मद्द-ए-मुक़ाबिल में एक के
दुश्मन को मेरे शर्म से मर जाना चाहिए

हिजरत सही नहीं है अगर हाकिम-ए-वतन
बे-घर को फिर बता कि किधर जाना चाहिए

आख़िर मुझे भी होने लगा जान का ख़याल
शीराज़ा सारा मेरा बिखर जाना चाहिए

- Ahsan Gulfam
0 Likes

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Gulfam

As you were reading Shayari by Ahsan Gulfam

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Gulfam

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari