kya hue aashiq us shakar-lab ke
taane sahne pade hamein sab ke
bhoolna mat buton ki yaari par
hain ye bad-kesh apne matlab ke
qais o farhaad chal base afsos
the vo kam-bakht apne mashrab ke
shaikhiyaan shaikh jee ki denge dikha
mil gaye vo agar kahi ab ke
yaad rakhna kabhi na bachiyega
mil gaye aap waqt gar shab ke
us mein khush hovein aap ya na-khush
yaar to hain suna usi dhab ke
yaar bin aish may-kashi tauba
hai ye apne khilaaf mazhab ke
क्या हुए आशिक़ उस शकर-लब के
ताने सहने पड़े हमें सब के
भूलना मत बुतों की यारी पर
हैं ये बद-केश अपने मतलब के
क़ैस ओ फ़रहाद चल बसे अफ़्सोस
थे वो कम-बख़्त अपने मशरब के
शैख़ियाँ शैख़ जी की देंगे दिखा
मिल गए वो अगर कहीं अब के
याद रखना कभी न बचिएगा
मिल गए आप वक़्त गर शब के
उस में ख़ुश होवें आप या ना-ख़ुश
यार तो हैं सुना उसी ढब के
यार बिन 'ऐश' मय-कशी तौबा
है ये अपने ख़िलाफ़ मज़हब के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aish Dehlvi
our suggestion based on Aish Dehlvi
As you were reading Masti Shayari Shayari